Liye ummeed ki kiran
Aur himmat se bhare do suitcase
Chal padi main kuch haasil karne
Aur aa pahunchi pardes
Haan, apne zaroor hai door
Par suvidhaon ka hai sahara
Din raat ko paar kar
Chalta rahe phone hamara
Akeli hu yahaan
Toh duniya se ladti rehti hu
Par jab padhai main mann nahi lagta
Sochti hu ki main yahaan aayi hi kyu
Anth mein har din
Ek nayi subah lata hai
Itna jeet haar chuki hu
Ki ek aur din mein kya hi jaata hai
#NaPoWriMo2022 #NaPoWriMo