Musings, Poetry

Zindagi

Aaj Kal zindagi
Kuch khili khili si hai
Jo mushkil bhi aa jaaye
Andar se Khushiyaan mili si hai

Kabhi chaar diwari mein
Kabhi khule aasmaan ke tale
Khudki chaah mein
Ummeed ka diya sada jale

Par unhe kaise bhoolu
Jinhone iss Khushi ke kaabil hai banaya
Chaahe janmi hu unke ghar
Ya phir unhone hai apnaya

Door baithe
Woh sab mujhe himmat dete hai
Iss muskaan ke liye
Kya Kuch sehte hai

Unke kaaran
Tootke bhi main tootthi nahi
Iss hausle ko dekh
Khushiyaan mujhse rooththi nahi

#napowrimo2022 #napowrimo #NaPoWriMoWithUnErase

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s